
Mumbai: BEST karmachariyon ki strike ke beech Mumbai ke kai ilaakon mein tanav ka mahaul dekhne ko mila. Strike ke dauran kuch shararati tatvon ne BEST bason par pathrav kar diya, jisse kai bason ko nuksan pahucha aur yatriyon mein afra-tafri mach gayi.
Police ke mutabik, pathrav ki ghatnayein shehar ke alag-alag hisson se saamne aayi hain. Haalat ko niyantran mein rakhne ke liye turant police bal tainat kiya gaya aur CCTV footage ke aadhar par aaropiyon ki pehchan shuru ki gayi.
Mumbai Police ne tezi se karvayi karte hue 23 logon ko giraftar kar liya hai. Is maamle mein kai FIR bhi darj ki gayi hain. Aaropiyon par sarkari sampatti ko nuksan pahunchane, kanoon-vyavastha bigadne aur anya sambandhit dharaon ke tahat maamle darj kiye gaye hain.
BEST prashasan ne pathrav ki ghatnaon ki kadi ninda ki hai aur kaha hai ki public transport ko nishana banana aam nagrikon ko pareshani mein daalne jaisa hai. Nuksan pahunchane walon ke khilaaf sakht kanooni karvayi ki jayegi.
Is beech Mumbai Police ne nagrikon se shanti banaye rakhne ki appeal ki hai. Samvedansheel ilaakon mein suraksha badha di gayi hai aur kisi bhi apriya ghatna ko rokne ke liye lagatar nazar rakhi ja rahi hai.
Mumbai Sansani Update: BEST strike ke dauran bason par pathrav ke maamle mein 23 log giraftar kiye gaye hain. Kai FIR darj kar police ne sakht karvayi shuru kar di hai.