Aurangzeb Tribute Par Sahar Shaikh Ka Bada Bayan! ‘History Can Never Be Erased’ Post Se Macha Bawaal!

Maharashtra ki siyasat mein ek baar phir Aurangzeb ko lekar vivaad chhidta nazar aa raha hai. AIMIM ki corporator Sahar Shaikh ka ek birthday tribute social media par charcha ka vishay ban gaya hai. Unhone Mughal ruler Aurangzeb ko lekar ek post share kiya, jiske baad siyasi aur social circles mein nayi behas shuru ho gayi hai.

Darasal, Sahar Shaikh ne Aurangzeb ke birthday ke mauke par tribute post share karte hue “History Can Never Be Erased” yani “Itihaas ko kabhi mitaya nahi ja sakta” likha. Unke is statement ne controversy ko hawa de di hai.

Post saamne aane ke baad Aurangzeb ke itihaas, unke shasan aur unki historical legacy ko lekar ek baar phir alag-alag tarah ki pratikriya saamne aa rahi hain. Kuch log is post ko historical reference ke taur par dekh rahe hain, toh wahin doosri taraf is tarah ke tribute ko lekar sawaal uthaye ja rahe hain.

Maharashtra mein pehle bhi Aurangzeb ko lekar kai baar siyasi takraav aur vivaad dekhne ko mile hain. Aise mein Sahar Shaikh ke is post ne ek baar phir political temperature badha diya hai.

Ab sawaal ye hai ki Sahar Shaikh ke is birthday tribute ke peeche unka kya message tha? Kya ye sirf itihaas ko lekar ek statement tha ya phir iske siyasi maayne bhi nikale ja rahe hain?

Filhaal, unke post ko lekar vivaad aur siyasi charcha jaari hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *