
Mumbai mein Deputy Mayor ke official bungalow ko lekar naya vivad saamne aaya hai. Mumbai Mayor Ritu Tawde ne Deputy Mayor ki official residence ki demand ka khulkar support kiya hai aur kaha hai ki unhe bhi pad ke hisaab se sarkari bungalow milna chahiye.Lekin BMC officials ka kehna hai ki is demand ko poora karne mein legal aur administrative hurdles hain. Maujooda rules aur provisions ke mutabik Deputy Mayor ke liye official bungalow allot karne ka seedha pravdhan nahi hai, isliye faisla lena aasaan nahi hoga.Is mudde ko lekar BMC ke andar bhi charcha tez ho gayi hai. Ek taraf Mayor ka maanna hai ki Deputy Mayor ko uchit suvidhayein milni chahiye, jabki doosri taraf adhikari kanooni prakriya aur niyamon ka hawala de rahe hain.Ab dekhna hoga ki BMC is maamle ka kya hal nikalta hai aur kya Deputy Mayor ko official bungalow mil paata hai ya nahi. Filhaal ye mudda Mumbai ki siyasi aur civic circles mein charcha ka vishay bana hua hai.