
Mumbai: Mumbai mein lagataar ho rahi musaladhar baarish ke beech ek aur dardnaak haadsa saamne aaya hai. Heavy rain ke dauran ek 60 saal ke vyakti ki khule manhole mein girne se maut ho gayi. Paani se bhari sadak par manhole nazar na aane ki wajah se yeh haadsa hua.
Prarambhik jaankari ke mutabik, vyakti baarish ke dauran apne ghar ki taraf ja raha tha, tabhi waterlogging ke beech chhupe manhole mein gir gaya. Local logon aur rescue team ne talaash abhiyan chalaya, jiske baad unka shav baramad kiya gaya.
Is ghatna ke baad civic authorities ki laparwahi par sawal uth rahe hain. Baarish ke season mein khule ya dhang se cover na kiye gaye manholes ko lekar nagrikon ne bhi narazgi jatayi hai.
Police ne ADR darj kar maamle ki jaanch shuru kar di hai, jabki BMC aur sambandhit vibhaag se bhi ghatna ko lekar report maangi gayi hai. Mumbai mein lagataar ho rahi baarish ke chalte logon se appeal ki gayi hai ki waterlogged areas mein sambhal kar chalain aur anavashyak yatra se bachen.
Mumbai Sansani is khabar par nazar banaye hue hai.