“Sharad Pawar Ki Tabiyat Phir Bigdi… Breach Candy Hospital Mein Karaye Gaye Admit!”

Maharashtra ki siyasat se is waqt ek badi khabar saamne aa rahi hai. NCP (SP) ke senior leader Sharad Pawar ki tabiyat ek baar phir kharab hone ke baad unhe Mumbai ke Breach Candy Hospital mein admit karaya gaya hai. 85 saal ke Sharad Pawar ki tabiyat ko lekar unke supporters aur party workers ke beech chinta badh gayi hai.

Darasal, 26 November ko Sharad Pawar ki beti aur NCP (SP) ki working president Supriya Sule ne social media par unki health ko lekar update share kiya. Unhone bataya ki Sharad Pawar ko Breach Candy Hospital mein admit karaya ja raha hai aur filhaal dehydration ki aashanka hai.

Hospital Mein Admit, Supriya Sule Ne Kya Kaha?

Supriya Sule ne apne post mein likha ki Baba ko ab thoda slow down karne aur travel kam karne ki zarurat hai. Lekin woh apne kaam se itna pyaar karte hain ki baar-baar samjhane ke baad bhi aaram karne ko taiyaar nahi hote.

Unhone logon ka shukriya ada karte hue Sharad Pawar ke liye bheji ja rahi good wishes aur concern ke liye aabhar bhi jataya.

November Mein Pehle Bhi Hospital Mein Hue The Admit!

Gaurtalab hai ki isse pehle 2 November ko Sharad Pawar ko chest pain aur cough ki shikayat ke baad Pune ke Ruby Hall Clinic mein admit karaya gaya tha. Baad mein unhe Mumbai ke Breach Candy Hospital mein bhi treatment ke liye rakha gaya tha.

Ab ek baar phir hospital mein admission ke baad unki health ko lekar charcha tez ho gayi hai.

Ab Aage Kya Hai Update?

Filhaal saamne aayi jaankari ke mutabik dehydration ki aashanka ke chalte unhe hospital mein admit karaya gaya hai. Unki beti Supriya Sule ne unhe travel kam karne aur aaram karne ki salah di hai.

Ab sabki nazrein Sharad Pawar ki health ko lekar aane wale agle medical update par tiki hui hain.

Ek baar phir hospital mein admission… Kya ab Sharad Pawar apni busy political schedule se break lenge?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *