
Food Safety ko lekar desh mein rules banane aur unka palan karwane wali FSSAI khud ab sawaalon ke ghere mein aa gayi hai. Ek aisi tasveer saamne aayi hai, jisne food safety department ke kaam karne ke tareeke par nayi bahas chhed di hai.
Darasal, FSSAI ne Bisleri brand ke khilaaf prosecution ki karwai shuru karne ka ailan kiya tha. Lekin isi ke baad food safety training programme ki kuch tasveeron mein Bisleri ki bottles nazar aane lagi. Bas phir kya tha, in tasveeron ko lekar FSSAI ki social media par alochana shuru ho gayi.
Log sawaal utha rahe hain ki jab ek taraf kisi brand ke khilaaf prosecution ki baat kahi ja rahi hai, toh doosri taraf usi brand ki bottled water training programme mein kaise nazar aa rahi hai?
Is poore maamle ne FSSAI ke standards, consistency aur official events mein products ke selection ko lekar charcha tez kar di hai.
Filhaal, viral tasveeron ke baad FSSAI ko lekar kai sawaal uth rahe hain. Ab dekhna hoga ki is controversy par authority ki taraf se kya clarification saamne aata hai.
Ek taraf action ka ailan, doosri taraf wahi brand training mein… Is tasveer ne FSSAI ko sawaalon ke katghare mein khada kar diya hai!