
Mumbai ki lifeline local train mein ek baar phir hungama dekhne ko mila. Parel–Ambarnath local ke andar chalti train mein do groups ke beech achanak jhagda shuru ho gaya, jo dekhte hi dekhte maarpeet mein badal gaya.
Is hinsa mein 2 log ghayal ho gaye. Maujood passengers ne beech-bachav ki koshish ki, jabki ghayalon ko ilaaj ke liye hospital bheja gaya. Ghatna ke baad Railway Police ne maamla darj kar jaanch shuru kar di hai. CCTV footage aur eyewitness ke bayaan ke aadhar par poore maamle ki tahkikaat jaari hai.
Is incident ke baad Mumbai Local ki security aur passenger safety ko lekar ek baar phir sawaal uthne lage hain.